Parle g se sakti h
@poojasingh28.**********99996 thankss dear?
Dear biscuits de to sakte ho lekin usme koi nutrition nahi hota hai. Bacchon ko vaise bhi processed khana nahi dena chahiye. Usme kayi aise ingredients hote hai jo bacche ke liye bilkul acche nahi hote jaise excess sugar. Unme koi dietary fibre bhi nahi hota jisse constipation bhi ho sakta hai. Inme kayi additives bhi hote hai jisse babies ko stomach ki problems ho sakti hai jaise reflux aur intestinal bacteria. Biscuits tasty zaroor hote hai lekin unme empty calories hoti hai aur usse bas basic body functioning hoti hai lekin koi nutrition nahi milta babies ko. Agar aapko baby ko biscuit dene ka mann hai to homemade biscuits bana lo oats, ragi, millet, whole wheat, almond, raisins etc ke. Ghar mein kuch snack bana ke de do baby ko lekin packaged aur processed food mat do.
100% Secure Payment Using
Stay safe | Secure Checkout | Safe delivery
Have any Queries or Concerns?
Trusted by 10+ million young parents Mylo is India’s #1 Pregnancy & Parenting App. Mylo app will guide you through your whole parenting journey. Download now