Apna BP monitor Kar Sakti Hain. Aap paani khoob piya Kijiye
@arrmaan2006 Pani to bhut piti hu m pura din km se km 30 glass
Kayi ladies ko hoti hai dear ye dikat pregnancy mein. Agar kabhi kadar hoti hai to yeh normal hai, lekin agar bahut zyada hai aur iski sath sath aur bhi symptoms ho jaise saans phulna, bolne mein dikat, dekhne mein dikat, bahut teez sar dard ya bleeding to doctor ko turant dikhana zaruri hai. Agar aapko aisi koi samasya nahi hai to chakkar na aaye ya kamsekam aaye iske liye aap bahut jaldi let ke uthna ya uth ke khade hona avoid karen. Jhatke se kuch bhi karne se chakkar zyada aata hai. Bahut deer tak apni back pe mat letiye. Side pe letiye khaskar ki left side pe. Thode thode intervals pe kuch thoda thoda khate rahiye bahut deer tak bhukha rahne se bhi chakkar aata hai. Paani aur fluids khub pejiye, iron rich khana le, healthy khana khaye zyada se zyada aur junk food avoid karen. Bahut zyada garam paani se na nahaye aur bahut deer tak garmi mein bahar na rahein. Jab chakkar aaye to ko bhi tight kapde ko loose kar le aur sir ko apne ghutno ke beech mein rakh kar baith jaayein.
100% Secure Payment Using
Stay safe | Secure Checkout | Safe delivery
Have any Queries or Concerns?
Trusted by 10+ million young parents Mylo is India’s #1 Pregnancy & Parenting App. Mylo app will guide you through your whole parenting journey. Download now