ap le skti hain but thoda lijiye bcz aam garam hota hai. Garam cheezein starting me avoid karni chahiye
Mat kho ,yahi fir pani mai daal kar rakho 2 se 3 hour tak or 1 ya 2 pieces hi kho
Mat khau. Aam atsi nehi hoti hai pehle 1/2 mahine tak
Haan kha sakte hai lekin din mein ek aam se zyada nahi, waise kuch logon ka manna hai ki aam se garmi hoti hai sharir mein lekin iska koi scientific proof nahi hai. Par phir bhi din mein ek aam se zyada nahi khana chahiye. Aap chaho to ek baar apne doctor se bhi pooch sakte ho. Bas mangoes khareedte samay dhyan rakhna ki woh chemically na pakaye gaye ho kyunki woh harmful ho sakta hai. Waise aam khane ke kayi fayede bhi hote hai jaise woh anemia ke liye acche hote hai, folic acid bhi hota hai jo bacche ki growth ke liye bahut accha hota hai. Mangoes mein high dietary fibre hota hai jisse constipation nahi hota. Inme vitamin c, vitamin B6 aur vitamin A bhi kafi matra mein hota hai. Mangoes mein nutrients to bahut hote hai. Mangoes khane se pehle inhe acche se wash kar lena aur unka peel nikal kar hi unhe khana. Aur agar apko bikul sure hona hai ki mangoes chemically nahi pakaye gaye hai to aap raw mangoes khareed lo aur phir unhe ghar pe hi pakne do.
100% Secure Payment Using
Stay safe | Secure Checkout | Safe delivery
Have any Queries or Concerns?
Trusted by 10+ million young parents Mylo is India’s #1 Pregnancy & Parenting App. Mylo app will guide you through your whole parenting journey. Download now